Share
Mam mere sasural walo ne mujhe rakhne se mana kar Diya tha bahot baar mere parents unhe manane Gaye the , 5th month mein kehne Lage meri ye shart hai ladki apne mayke nahi jaegi 4 saal tak na mayke wale usse Milne aayenge yaha , phone rakh lenge ladki ka stamp paper or blank paper pe jab ladki or mayke wale sign karenge ye sab sharton ke saath tab rakhne k liye ready hoenge mujhe kahi se pata chala 6 months ke baad koi case hi nahi banta husband ne number blok kar rakha hai kaafi months se , ab meri saas Mar gayi vo mujhse hospital mein last time mujhse milna chahti thi , kisi ne phone kar ke nahi bataya ke meri saas mujhe bula Rahi hai or Mera naam lene ke baad mar gayiJab mai apne sasural gayi thi saas ke rituals pura karne tab meri Chachi or meri nand ne mujhe Ghar se bahar nikal diya dhakka deke sab meri pati ko bhadkane mein Lage hai property ke liye , mujhpe pe blame lagate hai k Maine case q kar Diya mere paas koi option nahi tha jab sign or shart maanti tab sasural aane ko milta aise nahi jese ab agar mere sasur bhi mar jate hai tab kya mai legally apne sasural mein reh sakti hu ? Husband sasural Wale jese nahi rakhna chahe tab bhi mai waha reh sakti hu ? Qki mai divorce nahi dungi or na khud se shaadi todungiSafety ke saath normally apne sasural mein reh sakti hu , koi mujhe Ghar se bahar na nikal pae please bataye ye sab kese hoga
Question
Mai rehna chahti hu
Answer ( 1 )
You are still entitled to live in the matrimonial home irrespective of the husband blocking your number. it is advisable to file a petition under section 9 of the Hindu Marriage Act for restitution of conjugal rights. if the same is allowed, the husband or the inlaws will have to allow you to enter the matrimonial home.